Tuesday, June 17, 2008

Shayeries

Hi Guys, Finally at last here is the collection of shayeries... there are more but have lost them over a period of time since i never documented them.. the list below is courtesy to all my friends who had stored these and mailed me back when requested... :)


Raath ki tanhaye main aksar sochta hoon,
savera door nahi hai,
hai gum ka alam ab tho kya hua ,
khushiyon ki mehfil door nahi hai!!!

Peeche mudke dekta hai kise ai dil,
koun hai tera jo tuje rok lega,
akela hai tu akele hi pana hai manzil,
koun hai jo tere saath chalega.

Jisne bhi mohobbat ki hai,
woh hamesha luta hai,
kabi apni tadbeer se door hoke,
tho kabi apne ashiq se door hoke.

Deke hain kai tufano ko tufano se zoozna hai hame ata,
lak karo barbaad hame tum hame abad hai hona ata!!

Saji hai mehfil yaaron ki,
jaam ka saath hai jaanam ka nahi.
Meri mohobbat bewafa hai tho kya hua,
Mere yaar tho bewafa nahi.

Kehti hai duniya bewafa hame,
hame iskagum nahi,
ye duniya walo dika do aise shaks ko,
jiska bewafaon mein naam nahi!!

jaam pe jaam piye ja rahe hain,
teri yaad main hase ja rahe hain,
hum teri bewafai par nahi,
apni bewakufi par hase ja rahe hain!!!

Chot khaye hain bahut dil pe,ter ek chot se kya hoga..
Muje bewafa kehne wale dek le apna daaman,
uspe mer armaano ke katl ka daag hoga....

---
ek anjaan afsaana hai,
ankahe koi daastan hai,
zaalim zamane mein apno ko pehchanna mushkil hai,
lekin baat tho hogi us begaane mein,
jomere dil ko unke deedar ka intezaar hai!!

baadalon ke ghoonghat mein suraj chupa hai,
lagta hai hawa b is alam ke nashe mein mast hai..
joomte hue in kaliyon ko dek k sochta hun,
kya inhe b koi bichda yaar yaad aa raha hai...
iss mausam-e-bahar mein hum b joom len,
mohobbat chupa hai jo is jhoke mein,
mehsoos kar len,
tanhayi ke kafan mein munh chupaiye baite the,aaj do pal hi sahi,
apne liye jee len...
-----------------
Beete hue afsaane yaad aa rahe hain,
Tute hue sapne tadpa rahe hain,
Begaane the hum jab mohobbat se,
Aaj wo lamhe yaad aa rahe hain!!!

Muskurate the kabi jinke saath,
Woh humdard yaad aa rahe hain…
Gawaah hai jo meri tanhai ke,
tute hue woh jaam yaad aa rahe hain!!!

Aaj fir sunne ko unki hasi,
Kaan taras utte hain,
Deedar ke unki,
Fir ye aankh tarasthe hain,
Kya bataun yaaron,
aajWho hum kyun itnaa yaad rahe hain!!!

Naakaam koshish kar chuke,
firB na jane kyun tandi aahe barthe hain….
Karke apni duniya barbaad,
Unki salamati ki dua karte hain!!!

Haan hai wo kisi aur ki amanat,
iss sacchai ko hum nahi tukrate hain...
leki khuda ki kasam yaaron,
aaj b hum unse itna pyaar karte hain!!!!

intezar hai hame b kisi ka magar ye intezar he apni zindagi ban gayi hai,
kis manzil ki baath karun ai dost, hamari safar hi hamari manzil ban gayi hai....

kis mushkil ko dekkar gabra gaye ai dost,
koun si manzil door hai...
jab chal hi pade hain raah par,
tho rakna yaad hardum umeedon ka saath hai...

deke hain kai tufaano ko tufano se joojna hai hame aata,
laak karo barbad hame tum hame aabad hai hona aata...

hum tho fakir hain, raah mein kisi mod par kuch pal ke liye ruk jayenge...
do pal ki kushi simat lenge apne daman mein,fir anjaan manizil ki talash mein nikal jayenge....


jo bahar kabi na ayegi ,
usme phool kilne ka intezar bematlab hai..
.alfaas jo gazhal na ban sakenge,
unke liye sur banana bematlab hai...
jo pinjre main kaid hai panchi,
uska pank fadfadana bematlab hai...
badle na khwab jo haqeeqat mein,
unko dekna bematlab hai....
jo chah ke be apna na ban sake,
usko dil mein basan bematlab hai...
jiska humsafar ho koi aur,
uska humsafar banna bematlab hai...
hogi uski apni khud ki manzil,
dono ke manzil ki raah ek samajna bematlab hai..........
kisi ke khayalon mein karke khud ko intna bekaraar,
aisi behuda shayeri likna bematlab hai..........

teri ankhen sach bayan karthi hai,
jab ter lab joot bolti hain..
tere dil mein b wo hi armaan hai,
par majboorian un par parda dalthi hain...
chalo vaada raha tere zindagi se nikal jaunga,
ek bar tu sach bata,
kya tuje kabi b mujse pyaar nahi hua tha???


na hogi bechaini tere khamosh ho jane ki,
ha hogi karar tere khilkhilake hasne ki...
intezar na hoga tere ane ka,
na gum hoga tere laut jane ka...
zindagi mein na hogi fir kabi,
nasha tere ankhon mein doobne ka...
hogi na ehsaas fir tanhayi meinaahat tere yaadon ka....

na hogi bechaini tere khamosh ho jane ki,
ha hogi karar tere khilkhilake hasne ki...
intezar na hoga tere ane ka,
na gum hoga tere laut jane ka...
zindagi mein na hogi fir kabi,
nasha tere ankhon mein doobne ka...
hogi na ehsaas fir tanhayi meinaahat tere yaadon ka....

Na hongi ab wo baten,
na hongi ab wo raten....
hoti thi jinme guftagu tujse ,
gawah hai jiska wo chand....
raath se ab dil darega,
kahin chupke se na aa jaye teri yaad...
hogi na bekarari teri awaz sunne ki,
zanzeer dal denge apne pairon mein,
hui jo tamanna tujse milne ki....
azad hun aaj sare armaano se,sare haseen khwabon se....
khwab jo khwab rah jaye to haseen hai.

no hogi ab koi majburi,
na hogi dil mein dard koi...
vaastha na koi ab is rishte se,
chale hain hum aaj teri zindagi se...
chah ke be khud ko na rok payenge...
aabad rahe teri duniya,
khuda seyehi duwa mangenge........
ab na aur koi duwa hogi...
ab na aur koi pyar ki awaaz hogi............



Asaan Nahi Hotha Hai Kuch Rishte Thodna,Y
e Rishte Saanson Se Judi Hothi Hain....
Koi Kaise Rok Le Dil Ka Dhadakna,
Dhadkan Mein Kisi Ki Yaaden Hothi Hain....
Bhool Jaayen Hum Kaise Wo Pal,
Pal Jinme Hamari Zindagi Hai...
Hame Log Patthar Dil Kehte Hain,
Par Unhe Khabar Kya,Tujse Door Hoke Hum Apne Jindagi Se Door Hain.........
Waise Tanha Rahne Ka Hame B Shouk Nahi,
Lekin Hum Aur Kare B Kya,Hum Dono Apni Kismat se Majboor Hain...



kasam di tere yadon ko , yun tanhayion mein hame na sataye...
jis kahani ka anjaam na ho, woh afsana hame na sunaye...
chah ke be na laut payega jo, khade the hum usi ke intezar mein apni bahen failaye...


Kuch Zakmon Ko Chupana Padtha Hai,
Kuch Gam Ko Sehkar Muskurana Padtha Hai..
Hote Hai Halath Kuch Aise,
Apni Sanson Ko Rokkar B Jeena Padtha Hai...


Tanhai Mein Ye Dil Na Jane Kis Ki Yadon Ko Kagaz Pe Uthartha Hai ,
Jo Ban Jathi Hai Lakeeren, Unme Kisi Bewafa Ka Chehra Nazar Aatha Hai….
----------
Nafrat si ho gayi hai is mehfil se,
khudgarzi chalakthi hai har kisi ke nazaron se,
kisi aur pe kya aithbaar karen ai khuda ,
ab tho dil dartha hai khud ke dhadkan se.....




chod de thi umeed hamne vafa ki,nigahen khwab dekna chod de thi,aaj pata nahi kyon dhadkan tez ho gaye,lagtha hai yaron hum fir ishq ke shikaar ho gaye....

bahana dil behlane ka sahi,
kisi ne hame yaad tho kiya...
guzar rahe the sunsan galiyon se,
dabi hui awaz mein ,
najane kisne hame pukar liya....
do pal ke liye hi sahi,
kisi ke pyar mein hoke magroormaine b je liya...

ummed thi tuje ek din zindagi se jeet lenge,
aaj meri taqdeer ne hi muje hara diya...
tere liye chupa rakha tha jo mohobbat umr bhar ke liye,
usse chand aasuon mein aankhon ne baha diya....


sookh chuke hain ashk, saanse bejaan ho chuki hai ...
dil ki zubaan beaawaz ho chuki hai...
na hi koi afsaana hai na koi lafs...
likhe tho aur kya likhe,dastaan apni mohobbat ki khatm ho chuki hai......


Aaj fir woh lamhe yaad aaye,
Kuch toote sapne aansu banke beh gaye...
Umr Bhar Apni tanhayion se joojthe rahe hum,
Tohfa hai teri mohobbat ka,
Zindagi hum jeena bhool gaye.....


koi kya dard de payega hame,
hamare daaman mein kushiyan bahut hain...
ek wo bewafa hai tho kya hua..
humdum dost hamare bhaut hain...
ye teri galat fehmi hai,
ki hum akele hain..
saath hamare apno ki duan bahut hain...
rula dengi tuje meri yaaden,
kya karoge,teri dil mein saanse meri bahut hain....
---------------------------------------

Sook chuki hai ankeh,
Fir b kuch ashk baaki hai.
Hai alam mayoosi ka,
Fir b kuch aarzu baki hai.
Toote hai kuch, tho kya hua,
Daaman mein Khwab baaki hain.
Khuda ko nafrat hai humse,
Lekin is dil mein pyar baaki hai.
Beeth chuka hai din,
Lekin Shaam abhi baaki hai.
Manzil ki chah nahi,
Abi safar aur baaki hai.
Mauk ko keh do sabr kare,
Mere nasseb mein saanse baki hai.

1 comment:

Anonymous said...

Absolutely SEXY